Kisi Nazar Ko Tera, Intazaar Aaj Bhi Hai

Music:- Bappi Lahiri

Lyrics:-Hasan Kamaal

Singer:-Bhupinder,Asha Bhosle


Kisi Nazar Ko Tera, Intazaar Aaj Bhi Hai Hindi Lyrics:

Aaaa.....

Kisi nazar ko tera, intazaar aaj bhi hai-2

Kahaan ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhi hai

Ho.. Kisi nazar ko tera, intazaar aaj bhi hai


Wo waadiyaa, wo fijaayen ke hum mile the jahaan-2 

Meri wafaa kaa wahee par majaar aaj bhi hai

H0... kisi nazar ko tera, intazaar aaj bhi hai


Najaane dekh ke kyoon un ko ye huaa ehsaas-2

Ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai

Ho.. kisi nazar ko tera, intazaar aaj bhi hai


Wo pyaar jis ke liye humne chhod dee duniyaan-2

Wafaa kee raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhi hai 

Ho.. wo pyaar jis ke liye humne chhod dee duniyaan


Yakeen naheen hain magar aaj bhi ye lagataa hai-2

Meri talaash mein shaayad bahaar aaj bhee hai

Ho.. kisi nazar ko tera, intazaar aaj bhi hai


Na poochh kitne mohabbat ke zakhm khaaye hai-2

Ke jin ko soch ke dil sogwaar aaj bhi hai

Ho.. wo pyaar jis ke liye humne chhod di duniya

wafa ki raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhi hai


Ho..kisi nazar ko tera intazaar aaj bhi hai

Kahan ho tum ke ye dil beqraar aaj bhi hai

Ho.. kisi nazar ko tera intazaar aaj bhi hai


Zidagi kya koi nisaar kare kise duniya mein koi pyar kare,

Apna saaya bhi apna dushman hai kaun ab kiska aitbaar kare

Aitbaar Kare

0 comments

Post a Comment