Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade Bhajan
Singer:- Anup Jalota
Bhajan:- Ram Bhajan
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade Bhajan Lyrics
Kabhi Kabhi Bhagwan Ko bhi Bhagto se kaam pade, Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade(2)
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade
Avadh chod prabhu van ko Dhaye,
Siya Ram Lakhan Ganga Tat aye, Kevat man hi man harshaye,
ghar baithe parbhu darshan paye,
Haath jod kar prabhu ke aage kevat magan khade,
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade(2)
Prabhu bole tum naav chalao,
par hame kevat pahuchao,
Kevat kehata suno hamari Charan dhul ki maya bhari,
Main garib naiyya meri mahi na hoi pade,
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade(2)
Kevat daud ke jal bhar laya,
Charan dhoye charanamrit paya,
ved granth jis ke yaash gaye kevat unko naav chadaye,
barse phool gagan se aise bhakt ke bhaag bade
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade(2)
Chali naav Ganga ki Dharaa,
Siya Ram Lakhan ko paar utara,
prabhu dene lage naav utrai kevat kahe nahi RaghuraiPaar
kiya maine Tumko Ab Tu mohe paar kare
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade
Kabhi Kabhi Bhagwan Ko bhi Bhagto se kaam pade,
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade(4)
0 comments